Dil me rakhkar ek khwab, rahunga tere saath, Bachpan guzar diya !
Karta raha tujhse pyar, Par Kah na paya, Kah na paya.

Socha tha Ye, Socha tha Vo, ..Karunga,
Tere saath hi jeeunga, Tere saath hi marunga.
Sochta hi rah gaya, Par Kah na paya, Kah na paya.

Umeed hai seene me, Dil me abhi bhi hai arman, milegi tu kabhi to.
Har raat yaad karta hun, Khuda ko nahi tujhe.
Par Kah na paya, Kah na paya.

Teri Jhalak, Teri Muskan, Itna pyara.
Jisne tujhe banaya, choom lo mein uska hath.
Karta hun itna pyar, Par Kah na paya, Kah na paya.